Resistance colour code.
Name. Colour code
1. - Black - 0
2. - Brown - 1
3. - Red - 2
4. - Orange - 3
5. - yellow - 4
6. - Green - 5
7. - blue - 6
8. - Violet - 7
9. - grey - 8
10.- White - 9
Note:- resistance ka man nikaalne ke liye upar diye Gaye 9 color code ka istemal Kiya jata hai.
Resistance ka man nikaalne ka Tarika:-
:-resistance mein 4 colour hote Hain niche diye Gaye image mein dekhen.
Resistance ka man nikaalne ke liye upar diye Gaye image mein aap dekh sakte hain. 4 colour Hain. 1. Colour ka code ank mein likhen. 2. colour ka code ank likhen. 3. colour ka code ank ke baraber 0 likhen. 4. colour ka code nahi hota hai. ye tolerance hota hai jo resistance ka quality darshata hai.
Udaharan ke liye niche dekhen.
Brown Red Orange Gold
1 2 000 5%
12000÷1000=12k oms
Note:- Sabhi colour ka code likhane ke bad ank ko count kare. Count karne par agar aapka counting 1000 se kam hai to usme koi bhag (÷) nahi Lage ga. Agar aapka counting 1000000 se kam hai to usme 1000 se bhag (÷) Lage ga. Agar aapka counting 1000000 hai ya usse adhik hai to usme 1000000 se bhag (÷) lagega.
Bhag (÷) nahi lagane par oms likha jayega.
1000 se bhag (÷) lagane par (k oms) likha jayega.
1000000 se bhag (÷) lagane par (m oms) likha jayega.
Udaharan ke liye niche dekhen.
1.
Brown Red Green Gold
1 2 00000 5%
1200000÷1000000=1.2m oms
2.
Brown Red Brown
1 2 1 = 121 oms
Note:-
1. - Agar tisare sthan per black colour aa jaye to uska code kuchh bhi na likh kar resistance ka man nikala jaega.
2. - Agar tisare or chauthe sthan per gold colour aa jaye to dono colour code ke bich . (point) laga kar resistance ka man nikala jaega.
Comments
Post a Comment